Friday 16 October 2015

Short Story : Alvida

Alvida 
Kehte hain…pyar se bada insaniyat ka rishta hota hain. ..chalo, maine aaj yeh bhi azma liya…Tumhare ghunegharon ko maaph karke maine insaniyat ka rishta to nibhaye, shayad pyar ka farz na nibha sakeee…par iska matlab yeh nahin ki main pyar nahin kartee thi tumse..yeh samajh lo ki maine apna pyar ka tyag kiya... is janam main na mil paaye to kya…mera yakeen hain…humaree adhooree kahani, pooree hogee..zaroor puree hogee…kyunki jisne doosron ke liye tyag karna seekh liya, samajh lo usne pyar ka asli matlab seekh liya aur who insaan rab ke nazdeek ho gaya…main aaj us rab ko nazdeek mehsoos kar rahee hoon…aaj main pyar ka asli matlab samajh gayee hoon….Alvida. yeh ehsaan raha mera unpar.
(Dated: October 30, 2012) 

No comments:

Post a Comment