Friday 16 October 2015

kuch vichaar : haq

Tumhe yeh hak maine nahin diya ki tum mujhse poocho, ki main zindagi ke baarein main kya jaanti hoon, ka dekha hain. Tumhari jaankari ke liye main tumhe batatee hoon, ki meri aur tumharee life shayad alag alag ho par tumhe nahin malum ki meri zindagi main kya hua hain, kya beeta hain. Ho sakta hain ki is muskaratee hue chehre ke peeche bahut dard chupa hain. Ho sakta hain, shayad mujhe bhi mushkilon ka saamna karna padha ho. Phir kabhi mat kehna kisse se, ki unhe kya malum zindagi kya hotee hain kyunki unkee zindagi main kya beeta hain, yeh tumhe nahin malum.

No comments:

Post a Comment