Monday 10 August 2015

Alfaz kuch mere : tanhayee aur khushi

Tanhayee aur Khushi ki Mulakatein

Aaj phir woh ghadee aayi, jab tanhayee ne uska darwaza khatkataya. Khushi ne bola, mat kholna....agar is baar tanhayee ne andar dastak de diya, to mera kya hoga...woh bola lekin, tanhayee to mehmaan ki tarah hain, usse kaise mana karoon? Khushi ne bola, theek hain, andar bula de lekin agar tanhayee andar aayegi to main bahar chalee jayoongee aur main nahin chahtee meri jagah koi aur le. Woh chup raha aur usne darwaza nahin khola.

No comments:

Post a Comment