Friday, 16 October 2015

Short Story : Main Khaas Hoon



Main Khaas Hoon 
Lamhe kaise guzar gaye, pata nahin. Aisa lagta hain, jaise yeh pal abhi bhi wahin ho, jaisa tha, theek vaise hi jaise maine kayee saal pehle chod diya tha..pata nahin aisa kyun lagta hain, jaise waqt to aage guzar gaya, lekin main wahin ki wahin rahe gaye...jaise thi...kya main aaj bhi ateet bhi jee rahee hoon pata nahin. Mujhe pata hain, to bas itna. Ki aaj main wohi hoon, jaise thi..theek vaise hi, jaise thi...tab..bas yunhi kuch saal pehle...main badlee nahin. Aaj bhi mujhe baarish main bheegna pasand hain, gilli mitti ki khushboo aaj bhi mann ko kush kartee hoon, puddles main khelna, dil ko khush karta hain. Gully danda aur tez baarish ka maaza hi kush aur hain. Mujhe pyar hain paani se. Mere bas kuch hi dost hain, jinke liye main jaan bhi de saktee hoon. life ki choti choti cheezein mujhe kushi deti hain. Mera parivar meri duniya hain...bas yehi sansaar hain mera aur apne is sansaar main, main bahut kush hoon. Haan, to ho saktee hoon main, sabse alag...par apno ke liye, main khaas hoon - bahut khaas - excerpts from a story written.

(Dated; Dec 21, 2012) 

No comments:

Post a Comment