Khud se door aur kitne paas
Armaan aur khawaishayon ke peeche bhaagte bhaagte, hum khud se door hote Gaye....zindagi main kuch banne ki Chahat ne, aisa junoon paida kiya ki hum apne aap ko hi bhool Gaye. Aaj phir us gali main gaye, jahan kabhi bachon ki goonj basti thi, jahan muskurahat and hassi ki leher bastti thi aur phir mann main khayal aaya ki kushi to tab humare andar bastti thi..itna sannatta theek nahin. Aankhein band ki aur gaaya....aasman ke neeche, band darwazon par...ek himmat si aayi...barsat huee aur ek sakoon sa aaya...I...I ...had just sung to the universe and they were my audience.
No comments:
Post a Comment